Mohabbat mein ye kya maqaam aa rahe hain
Jigar MoradabadiFeatured
mohabbat mein ye kya maqaam aa rahe hain ke manzil pe hain aur chale ja rahe hain ye keh keh ke hum dil ko behla rahe hain wo ab chal chuke hain wo ab aa rahe hain wo az-khud hi naadim hue ja rahe hain khuda jaane kya kya khayaal aa rahe hain hamaare hi dil se maze un ke poochho wo dhoke jo daanista hum kha rahe hain jafa karne waalon ko kya ho gaya hai wafa kar ke bhi hum to sharma rahe hain wo aalam hai ab yaar-o-aghyaar kaise hamin apne dushman hue ja rahe hain mizaaj-e-giraami ki ho khair ya rab kai din se aksar wo yaad aa rahe hain