Aankhon mein bas ke dil mein sama kar chale gaye
Jigar Moradabadiaankhon mein bas ke dil mein sama kar chale gaye khwaabeeda zindagi thi jaga kar chale gaye husn-e-azal ki shaan dikha kar chale gaye ik waaqia sa yaad dila kar chale gaye chehre tak aasteen wo la kar chale gaye kya raaz tha ke jis ko chhupa kar chale gaye rag rag mein is tarah wo sama kar chale gaye jaise mujhi ko mujh se chura kar chale gaye meri hayaat-e-ishq ko de kar junoon-e-shauq mujh ko tamaam hosh bana kar chale gaye samjha ke pastiyaan mere auj-e-kamaal ki apni bulandiyaan wo dikha kar chale gaye apne farogh-e-husn ki dikhla ke wus'aten mere hudood-e-shauq badha kar chale gaye har shai ko meri khaatir-e-naashaad ke liye aaina-e-jamaal bana kar chale gaye aaye the dil ki pyaas bujhaane ke waaste ik aag si wo aur laga kar chale gaye aaye the chashm-e-shauq ki hasrat nikaalne sar ta qadam nigaah bana kar chale gaye ab kaarobaar-e-ishq se fursat mujhe kahaan kaunain ka wo dard badha kar chale gaye shukr-e-karam ke saath ye shikwa bhi ho qubool apna sa kyun na mujh ko bana kar chale gaye lab thartharaa ke reh gaye lekin wo ae Jigar jaate hue nigaah mila kar chale gaye