Aadmi aadmi se milta hai
Jigar Moradabadiaadmi aadmi se milta hai dil magar kam kisi se milta hai bhool jaata hoon main sitam us ke wo kuchh is saadgi se milta hai aaj kya baat hai ke phoolon ka rang teri hansi se milta hai silsila fitna-e-qayaamat ka teri khush-qaamati se milta hai mil ke bhi jo kabhi nahin milta toot kar dil usi se milta hai kaarobaar-e-jahaan sanwarte hain hosh jab be-khudi se milta hai rooh ko bhi maza mohabbat ka dil ki hum-saaegi se milta hai