Dil gaya raunaq-e-hayaat gayi
Jigar Moradabadidil gaya raunaq-e-hayaat gayi gham gaya saari kaainaat gayi dil dhadakte hi phir gayi wo nazar lab tak aayi na thi ke baat gayi din ka kya zikr teera-bakhton mein ek raat aayi ek raat gayi teri baaton se aaj to waaiz wo jo thi khwaahish-e-najaat gayi un ke behlaaye bhi na behla dil raaegaan sai-e-iltifaat gayi marg-e-aashiq to kuchh nahin lekin ik maseeha-nafas ki baat gayi ab junoon aap hai garebaan-geer ab wo rasm-e-takallufaat gayi hum ne bhi waza-e-gham badal daali jab se wo tarz-e-iltifaat gayi tark-e-ulfat bahut baja naaseh lekin us tak agar ye baat gayi haan maze loot le jawaani ke phir na aayegi ye jo raat gayi haan ye sarshaariyaan jawaani ki aankh jhapki hi thi ke raat gayi jalwa-e-zaat ae ma'aaz-Allah taab-e-aaina-e-sifaat gayi nahin milta mizaaj-e-dil hum se ghaaliban door tak ye baat gayi qaid-e-hasti se kab najaat Jigar maut aayi agar hayaat gayi