Dil mein kisi ke raah kiye ja raha hoon main
Jigar Moradabadidil mein kisi ke raah kiye ja raha hoon main kitna haseen gunaah kiye ja raha hoon main duniya-e-dil tabaah kiye ja raha hoon main sarf-e-nigaah-o-aah kiye ja raha hoon main fard-e-amal siyaah kiye ja raha hoon main rehmat ko be-panaah kiye ja raha hoon main aisi bhi ik nigaah kiye ja raha hoon main zarron ko mehr-o-maah kiye ja raha hoon main mujh se lage hain ishq ki azmat ko chaar chaand khud husn ko gawaah kiye ja raha hoon main daftar hai ek maani-e-be-lafz-o-saut ka saada si jo nigaah kiye ja raha hoon main aage qadam badhaayen jinhen soojhta nahin raushan charaagh-e-raah kiye ja raha hoon main maasoomi-e-jamaal ko bhi jin pe rashk hai aise bhi kuchh gunaah kiye ja raha hoon main tanqeed-e-husn maslehat-e-khaas-e-ishq hai ye jurm gaah gaah kiye ja raha hoon main uthti nahin hai aankh magar us ke ru-ba-ru naa-deeda ik nigaah kiye ja raha hoon main gulshan-parast hoon mujhe gul hi nahin azeez kaanton se bhi nibaah kiye ja raha hoon main yun zindagi guzaar raha hoon tere baghair jaise koi gunaah kiye ja raha hoon main mujh se ada hua hai Jigar justuju ka haq har zarre ko gawaah kiye ja raha hoon main