Sabr wahshat-asar na ho jaaye
Momin Khan Mominsabr wahshat-asar na ho jaaye kahin sehra bhi ghar na ho jaaye rashk-e-paighaam hai inaan-kash-e-dil naama-bar raahbar na ho jaaye dekho mat dekhiyo ke aaina ghash tumhen dekh kar na ho jaaye hijr-e-parda-nasheen mein marte hain zindagi parda-dar na ho jaaye kasrat-e-sajda se wo naqsh-e-qadam kahin paamaal-e-sar na ho jaaye mere taghyeer-e-rang ko mat dekh tujh ko apni nazar na ho jaaye mere aansu na ponchhna dekho kahin daamaan tar na ho jaaye baat naaseh se karte darta hoon ke fughaan be-asar na ho jaaye ae qayaamat na aaiyo jab tak wo meri gor par na ho jaaye maana-e-zulm hai taghaaful-e-yaar bakht-e-bad ko khabar na ho jaaye ghair se be-hijaab milte ho shab-e-aashiq sahar na ho jaaye rashk-e-dushman ka faaida maaloom muft jee ka zarar na ho jaaye ae dil aahista aah-e-taab-shikan dekh tukde jigar na ho jaaye Momin eemaan qubool dil se mujhe wo but aazurda gar na ho jaaye