Qahr hai maut hai qaza hai ishq
Momin Khan Mominqahr hai maut hai qaza hai ishq sach to yun hai buri bala hai ishq asar-e-gham zara bata dena wo bahut poochhte hain kya hai ishq aafat-e-jaan hai koi parda-nasheen ke mere dil mein aa chhupa hai ishq bul-hawas aur laaf-e-jaan-baazi khel kaisa samajh liya hai ishq wasl mein ehtimaal-e-shaadi-marg chaaragar dard-e-be-dawa hai ishq soojhe kyunkar fareb-e-dil-daari dushman-e-aashna-numa hai ishq kis malaahat-sarisht ko chaaha talkh-kaami pe ba-maza hai ishq hum ko tarjeeh tum pe hai yaani dil-ruba husn-o-jaan-ruba hai ishq dekh haalat meri kahin kaafir naam dozakh ka kyun dhara hai ishq dekhiye kis jagah dubo dega meri kashti ka naakhuda hai ishq ab to dil ishq ka maza chakkha hum na kehte the kyun bura hai ishq aap mujh se nibaahenge sach hai ba-wafa husn-o-be-wafa hai ishq main wo majnoon-e-wahshat-aara hoon naam se mere bhaagta hai ishq qais-o-farhaad-o-waamiq-o-Momin mar gaye sab hi kya waba hai ishq